Vahi rahta hai sab lekin zamāna chhoot jata hai
Parī sī beṭiyon ka muskurāna chhoot jata hai
Vahi rahta hai sab lekin zamāna chhoot jata hai
Parī sī beṭiyon ka muskurāna chhoot jata hai
Adhūra zindagī kā har fasāna chhoot jata hai
Vo chiḍiyon sā phudakna chahchahāna chhoot jata hai
Jadīdī daur meñ bhi hai qadīmī beṭī kī qismat
Judā hote hi bachpan se gharāna chhoot jata hai
Jo kal tak ghar thā beṭī ka huā hai māykā ab vo
Zarā sī rasm se hi āshiyāna chhoot jata hai
Agar māñ ṭhanḍī roṭī deñ to ham nārāz hote hain
Magar sasurāl jā kar garm khānā chhoot jata hai
Koi bagiyā samar ke bin rahe sūnī na is khātīr
Shajar bābā ke āñgan ka purāna chhoot jata hai
Muhayyā aish-o-ishrat ka asāsa hai hameñ yūñ to
Magar is meñ khilaunoñ kā khazāna chhoot jata hai
Raheñ māñ-bāp jab tak pūchhī jātī hai har ik beṭī
Phir apne gāñv us kā ānā-jānā chhoot jata hai
Jahāñ kī sārī zimmedāriyāñ hain munhasir ham par
Na chhoote kām ham se bas kamāna chhoot jata hai
Zarā se dil meñ rakhne paṛte hain parvat se gham ham ko
Zarā sī bāt par āñsū bahāna chhoot jata hai
Yahāñ ik 'ārzū' ko gul kī nikhat sā banāne meñ
Hazāroñ khvāb kā mausam suhāna chhoot jata hai
Anjuman Mansuri
वही रहता है सब लेकिन ज़माना छूट जाता है
परी सी बेटियों का मुस्कुराना छूट जाता है
अधूरा ज़िंदगी का हर फ़साना छूट जाता है
वो चिड़ियों सा फुदकना चहचहाना छूट जाता है
जदीदी दौर में भी है क़दीमी बेटी की क़िस्मत
जुदा होते ही बचपन से घराना छूट जाता है
जो कल तक घर था बेटी का हुआ है माएका अब वो
ज़रा सी रस्म से ही आशियाना छूट जाता है
अगर माँ ठंडी रोटी दें तो हम नाराज़ होते हैं
मगर ससुराल जा कर गर्म खाना छूट जाता है
कोई बग़िया समर के बिन रहे सूनी न इस ख़ातिर
शजर बाबा के आँगन का पुराना छूट जाता है
मुहय्या ऐश-ओ-इशरत का असासा है हमें यूँ तो
मगर इस में खिलौनों का ख़ज़ाना छूट जाता है
रहें माँ-बाप जब तक पूछी जाती है हर इक बेटी
फिर अपने गाँव उस का आना-जाना छूट जाता है
जहाँ की सारी ज़िम्मेदारियाँ हैं मुनहसिर हम पर
न छूटे काम हम से बस कमाना छूट जाता है
ज़रा से दिल में रखने पड़ते हैं पर्वत से ग़म हम को
ज़रा सी बात पर आँसू बहाना छूट जाता है
यहाँ इक 'आरज़ू' को गुल की निकहत सा बनाने में
हज़ारों ख़्वाब का मौसम सुहाना छूट जाता है
अंजुमन मंसूरी
#मां #मायका #ख्वाब #मौसम #खिलौना #आंगन #बेटी #जमाना #दिल #शेर
