Ek gul ko gul-e-gulzar banane ke liye
Kashtiyan kaat li patwar banane ke liye
Ek gul ko gul-e-gulzar banane ke liye
Kashtiyan kaat li patwar banane ke liye
Usne ik roz mulaqat ka wada toda
Dil ko dil se dil-e-bezar banane ke liye
Hum tere gaon mein yalghar kare bhi kaise
Hum bane hi nahi hathiyar banane ke liye
Raat aati hai, thaharti hai, chali jati hai
Chand-taron ko adakar banane ke liye
Phool to phool hain, kante bhi utha laye hum
Jane kiske labon-rukhsar banane ke liye
Bhulne ko main use bhul gaya hun lekin
Bich mein kuch nahi diwar banane ke liye
Aur sab yar banane ke liye the Anwar
Sirf main hi tha gunahgar banane ke liye
Chota sa dil mera sau bar se zyada tuta
Aur wo bhi tujhe ik bar banane ke liye
🖋️ (Anwar Aariz)
एक गुल को गुल-ए-गुलज़ार बनाने के लिए
कश्तियाँ काट ली पतवार बनाने के लिए
उसने इक रोज़ मुलाक़ात का वादा तोड़ा
दिल को दिल से दिल-ए-बैज़ार बनाने के लिए
हम तेरे गाँव में यलग़ार करे भी कैसे
हम बने ही नहीं हथियार बनाने के लिए
रात आती है, ठहरती है, चली जाती है
चाँद-तारों को अदाकार बनाने के लिए
फूल तो फूल हैं, काँटे भी उठा लाए हम
जाने किसके लबों-रुख़सार बनाने के लिए
भूलने को मैं उसे भूल गया हूँ लेकिन
बीच में कुछ नहीं दीवार बनाने के लिए
और सब यार बनाने के लिए थे अनवर
सिर्फ़ मैं ही था गुनहगार बनाने के लिए
छोटा सा दिल मेरा सौ बार से ज़्यादा टूटा
और वो भी तुझे इक बार बनाने के लिए
🖋️ Anwar Aariz)
#Urdupoetry #sadshayari #urdushayri #hindishayari #sadpoetry #writer #lovequotes #shayari #poetry #love #foryou #follow #followme #shayarilover #viralpost
