Fikr-o daanish ke maqamaat haiN kaise kaise
uski qudrat ke nishaanaat haiN kaise kaise
Dil muhabbat meN sharabor, laboN pe nafrat
jaan-e jaanaaN meN tazaadaat haiN kaise kaise
shahr se door pahaaRon pe kisi basti meiN
pyaar ke goonjte naGHmaat haiN kaise kaise
dukh bhi hai sukh bhi muhabbat bhi ibaadaat bhi haiN
raat ke batn meN haalaat haiN kaise kaise
rahnuma jinko banaaya hai hameeN logon ne
unke posheeda mafaadaat haiN kaise kaise
muntashir rishte sukuN KHatm, KHatarnaak amraaz
aish-o masti ke fasaadaat haiN kaise kaise
ab adaalat tujhe THahraaegi mujrim javed
tere apnoN ke bayaanaat haiN kaise kaise
Dr Javed Jameel
फ़िकरो दानिश के मक़ामात हैं कैसे कैसे
उसकी क़ुदरत के निशानात हैं कैसे कैसे
दिल मुहब्बत में शराबोर, लबों पे नफ़रत
जाने जानां में तज़ादात हैं कैसे कैसे
शहर से दूर पहाड़ों पे किसी बस्ती में
प्यार के गूंजते नग़मात हैं कैसे कैसे
दुःख भी है, सुख भी, मुहब्बत भी, इबादात भी हैं
रात के बत्न में हालात हैं कैसे कैसे
रहनुमा जिनको बनाया है हमीं लोगों ने
उनके पोशीदा मफ़ादात हैं कैसे कैसे
डॉ जावेद जमील
मुन्तशिर रिश्ते, सुकूँ ख़त्म, ख़तरनाक अमराज़
ऐशो मस्ती के फ़सादात हैं कैसे कैसे
अब अदालत तुझे ठहराएगी मुजरिम जावेद
तेरे अपनों के बयानात हैं कैसे कैसे
