Kaun Kahata Hai Ki Maut Aayi To Mar Jaoonga
Main To Dariya Hoon Samundar Mein Utar Jaoonga !
Tera Dar Chhod Ke Main Aur Kidhar Jaoonga
Ghar Mein Ghir Jaoonga Sahara Mein Bikhar Jaoonga !
Ab Tere Shahar Mein Aaoonga Musaafir Kee Tarah
Saaya-e-abr Kee Maanind Guzar Jaoonga
Charaasazon Se Alag Hai Mera Meaar Ki Main
Zakhm Khaoonga To Kuchh Aur Sanvar Jaoonga !
Zindagi Sham Kee Maanind Jalaata Hoon Nadeem
Bujh To Jaoonga Magar Subah To Kar Jaoonga !
Nadeem
कौन कहता है कि मौत आई तो मर जाऊँगा
मैं तो दरिया हूँ समुंदर में उतर जाऊँगा !
तेरा दर छोड़ के मैं और किधर जाऊँगा
घर में घिर जाऊँगा सहरा में बिखर जाऊँगा !
अब तेरे शहर में आऊँगा मुसाफ़िर की तरह
साया-ए-अब्र की मानिंद गुज़र जाऊँगा
चारासाज़ों से अलग है मेरा मेआर कि मैं
ज़ख़्म खाऊँगा तो कुछ और सँवर जाऊँगा !
ज़िंदगी शम्अ' की मानिंद जलाता हूँ 'नदीम'
बुझ तो जाऊँगा मगर सुब्ह तो कर जाऊँगा !
Tags
Deedar
Dilkash Shayri
Gazal
Gulshan-e-Shayri
Heart Touching Shayri
Inspirational Shayri
Romantic Shayri
Sanjida Shayri
Urdu Poetry
