Ghazal (غزل)
Wafa khuloos ke bazaar mil nahi sakte.
Mohabbaton ke talabgaar mil nahi sakte.
Kahin bhi saare zamaane mein dekh lo jaakar
Hamari tarah khareedar mil nahi sakte.
Duaayein lijiye Maa ki, yeh hai mera daawa
Kabhi ghamon mein giraftar mil nahi sakte.
Humein pata hai wafadaar kisko kehte hain
Hamari qaum mein gaddaar mil nahi sakte.
Tumhare gham se rifaqat hai isliye mujhko
Khushi ke ab kahin ambaar mil nahi sakte.
Baghair khoon-kharaabe ke is zamaane mein
Utha ke dekh lo akhbaar mil nahi sakte.
Janab amn ke phoolon ka tazkira yeh hai
Baghair jang ke hathiyar mil nahi sakte.
Qadam qadam pe agar hausla mile Raunaq
Toh raaste kabhi dushwaar mil nahi sakte.
Shah Alam Raunaq (شاہ عالم رونق)
*ग़ज़ल*
वफ़ा खुलूस के बाजार मिल नही सकते।
मोहब्बतों के तलबगार मिल नही सकते।
कहीं भी सारे ज़माने में देख लो जाकर
हमारी तरह खरीदार मिल नही सकते।
दुआएँ लीजिए माँ की यह है मेरा दावा
कभी ग़मो में गिरफ्तार मिल नही सकते
हमे पता है वफादार किसको कहते हैं
हमारी कौम में गद्दार मिल नही सकते।
तुम्हारे ग़म से रिफाकत है इसलिए मुझको
खुशी के अब कहीं अम्बार मिल नही सकते
बग़ैर खून - खराबे के इस ज़माने में
उठा के देख लो अख़बार मिल नही सकते
जनाब अम्न के फूलों का तज़किरा यह है
बग़ैर जंग के हथियार मिल नही सकते
क़दम क़दम पे अगर होंसला मिले रौनक़
तो रास्ते कभी दुशवार मिल नही सकते।
*शाह आलम रौनक़*
