Ghazal
Sab kaam ho rahe hain raeeson ke vaaste
Kuchh kījiye huzūr gharībōṉ ke vaaste
Hai zimmedāri aapki har shakhs khush rahe
Haakim nahīṉ haiṉ sirf azīzōṉ ke vaaste
Gar aas raushnī kī hai to yeh bhī sochna
Hai tel bhī zarūrī charāghōṉ ke vaaste
Ab tak wo kaam dekhiye pūrā nahīṉ huā
Chhōṛā thā jo bhī kaam adībōṉ ke vaaste
Dil khōl kar ke lūṭ rahe aaj doctor
Ilzām kyōṉ haiṉ saare vakīlōṉ ke vaaste
Kehna faqat hai aaj naye daur se hameṉ
Kuchh ehtarām rakhiye za.īfōṉ ke vaaste
Sāghar kisī bhī rāh meṉ khauf-o-khatar na ho
Itna to kījiye gā hasīnōṉ ke vaaste
Vinay Sāghar Jaiswal
Glossary:
* Haakim (حاکم): Ruler, high official
* Adībōṉ (ادیبوں): Litterateurs, writers
ग़ज़ल---
सब काम हो रहे हैं रईसों के वास्ते
कुछ कीजिए हुज़ूर ग़रीबों के वास्ते
है ज़िम्मेदारी आपकी हर शख़्स ख़ुश रहे
हाकिम नहीं हैं सिर्फ़ अज़ीज़ों के वास्ते
गर आस रौशनी की है तो यह भी सोचना
है तेल भी ज़रूरी चरागों के वास्ते
अब तक वो काम देखिए पूरा नहीं हुआ
छोड़ा था जो भी काम अदीबों के वास्ते
दिल खोल कर के लूट रहे आज डॉकटर
इल्ज़ाम क्यों हैं सारे वकीलों के वास्ते
कहना फ़कत है आज नये दौर से हमें
कुछ एहतराम रखिये ज़ईफों के वास्ते
*साग़र* किसी भी राह में ख़ौफ़-ओ-ख़तर न हो
इतना तो कीजिएगा हसीनों के वास्ते
🖋️विनय साग़र जायसवाल
हाकिम-शासक, बड़ा अधिकारी
अदीबों-साहित्यकारों ,लेखकों
